Poetry / General

Aye Mere Khamosh Sathi
Tu kiyoun itna udas hai
Tujhe to Khuda ne nemat ataa ki hai
Logon ko hansane ki
Ye tere ansu
Jinhain log dekhne se ghafil hain
Jo apni khushi mein magan hain
Jo apni hasti mein khain gum hain
Tu kiyoun enko khojta hai
Tu kiyoun enko dhundta hai
K tu to shuru se akaila hai
Aur akhir tak akaila hai
K ye khushi jo do pal ki hai
Tu bhi es mein khush hoja
Aur ji le sari zindagi
Tu kiyoun itna udas hai
Tu kiyoun afsurda hota hai
K ye to hain musafir apni hi zindagi k
K najane ye safar kab khatam ho jaye
Phir baqi reh jayega aik ehsas
K Ehsas To Hota Hai Kisi K Jane K Baad
Ye waqt ki rait jo hathon se phisal rahi hai
Kahin tham na jaye
Tu Khush hoja
Aur ji le ye Sham
K kahin waqt guzar na jaye
Aye mere Khamosh Sathi
Aao es Sham k andhere mein
Hum donon beth k batain karain
Koi bhi na ho hamare aas paas
Kuch tum shikwa karo
Kuch hum tum ko manayein
Ye mosam to badal jayega
Magar hum na badlenge
K ye waqt to chala jayega
Magar hum yahin rahenge
Aye Mere Khamosh Sathi........!!

Advertisement
· 1 Like · Aug 26, 2015 at 20:08
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS