Poetry / General

Saher

aksar socha voh shab-o-roz bhula kar dekhon
dil nahin bhoolta rootee hoee surat tairi

safar pay niklee akeli bina sochay samjhay
qadam qadam pai padtee hai zaroorat tairi

kaha thaa tunay jhelogi dar badar ka azaab
aaj yaad atee hai reh reh kay voh nasiyaat tairi

aansoo peeta raha hans hans kay vidaa karta raha
kaisay bhoolon voh muhabat voh shafqat tairi

giryaa karta hai maira dil tujhay ab paaon kahan
bana kar rakhlee hai har konay mai moorat tairi

judaiyoon kay andheray mai kho gaye manzar
ashkoon ki baarish mai dhundlaa gaee surat tairi

Advertisement
· 1 Like · Mar 31, 2016 at 21:03
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS