Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ek Khuwab Safar Mai Rehta Hai

ik naam ki urti khushbu mein ik khawab safar mein rehta hai
ik bastii ankhen malti hai ik shehar nazar mein rehta hai

kya ehl-e hunar, kya ehley Sharf sab tukre raddi kaghaz ke
is daur mein hai woh shakhs bara jo roz khabar mein rehta hai

pani mein roz bahata hai ik shakhs diye umeedon ke
aur aglay din tak phir un ke hamrah bhanwar mein rehta hai

ik khuwab-e hunar ki aahat se kya aag lahoo mein jalti hai
kya lehar si dil mein chalti hai! kya nasha sir mein rehta hai

jo pairr pay likhi jati hai jo giili rait se bantaa hai
kon uss tehreer ka waris hai! kon aisay ghar mein rehta hai !

har shaam sulagti aankhon ko deewar mein chuun kar jati hai
har khawab, shikasta honay tak zanjeer-e sehar mein rehta hai

yeh shehar katha bhi hai amjad ik qissa sotay jagtay ka
hum dekhen jis kirdaar ko bhi jadu ke assar mein rehta hai

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Abhi Na Khul

abhi nah khul abhi thora hijaab rehne day
kuch aur din mujhe yuhin kharab rehne day

ujaarr day mere dil ki tamam dharti ko
bas ik shehar, mera shehr-e khawab rehne day

wohi howa nah bichernay pay baat aa pohanchi
tujhe kaha tha, puranay hisaab rehne day

meri hatheli par likh day har ik nakami
mere khuda to usay kamyaab rehne day

waraq waraq nah to aisay lakerain khinchtaa ja
kitab Umar mein koi to baab rehne day

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Phir Aahon Ka Dhuwan Utha

jala phir sabr ka Khirmen , phir aanhon ka dhuwan utha
howa phir nazr-e sar sar har nashiman ka har ik tinka

hui phir subh-e maatam aanso-on se bhar gaye darya
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha
har ik janib fiza mein phir macha kohraam-e yarab ha

umadd i kahin se phir ghata wehshi zamanoon ki
fiza mein bijliyan lehrayin phir se taziyano ki
qalam honay lagi gardan qalam ke pasbanon ki
khula nelaam zehnon ka, lagi boli zabanon ki
lahoo dainay laga har ik dahan mein bukhya lab ha
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha

sitam ki aag ka eendhan banay dil phir se, dadalha !
yeh tairay saada dil bande kidhar jayen khudawanda
bana phirta hai har ik muddayi pegham Bar tera
har ik buut ko sanam khanaay mein daawa hai khudai ka
khuda mehfooz rakhay az khudawandan-e mazhab ha
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha

· 1 Like · Mar 13, 2018 at 21:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aise Lagta Hai

aisay lagta hai yahi qoum ke gham khawar hain bas
rehnuma saaray ke saaray he adakar hain bas
in pay kiyon kholtey ho janat-e Firdous ke baab
ehley duniya hain, yeh duniya ke talab gaar hain bas
ehley haq jantay hain Adal ke asmaar hain kya
ehley zulmat pay yeh asmaar giran baar hain bas
mulk lota hai magar phir bhi Muaziz hain woh
kaisi majboori kay hum in ke taraf daar hain bas
hum woh badbakht nahi chahtay hain apnon ko
aur gheiron ki mohabbat mein girftar hain bas
kon sa jurm tha apna kay mili jis ki saza
hum saya kaar murawwat ke sazawar hain bas

· 1 Like · Mar 10, 2018 at 17:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tere Qabil Nahi Hota

nah ro ae shama parwano ka naazuk dil nahi hota
yeh deewany hain mar jana inhen mushkil nahi hota

bas ab chupkay raho mansoor ki baabat nah khilwao
mohabbat itni bhar dete ho jitna dil nahi hota


khuda rakhay tumahra gham to kya aalam sama jaye
zara sa dil samajte ho zara sa dil nahi hota

ellahi doob jana he rakha hai kya muqadar mn
idhar jati hai kashti jis taraf saahil nahi hota

azal se mehv hon ainaa dil ki safai mein
tairay qabil banata hon tairay qabil nahi hota

· 3 Like · Mar 10, 2018 at 04:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Goya Andaz E Tazeem Hai Ameeron Jaisa

Goya Andaz-e-Tazeem hai Ameeron Jaisa

Mery Andar Ka Hay Insaan Faqeeron Jaisa


Hum Ney Chahry Pe Saja Rakhi Hai Shehr Ki Ronaq

Mere Dil Ka Aalam Hai Veeran Zanjeeron Jesa


Us Ko Osaf-o-khasaali Nay Mujhe Jeet Liya

Mere Mureedon Main Tha Shakhs Woh Peeron Jesa


Us Ko Mohsin Ganwa Ke Hain Khasaary Ab Tak

Wh Jo Ik Shakhs Tha Mery Hathon Main Heeron Jesa..

· 1 Like · Mar 06, 2018 at 19:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Fasoon Hai, Yoon Hai

Us Ka Apna He Karishma Hai, Fasoon Hai, Yoon Hai
Yoon To Kehney Ko Sabhi Kehtey Hein Yoon Hai, Yoon Hai

Jesey Koi Dar-E-Dil Per Ho Satada Kab Se
Aik Saaya Na Daroon Hai, Na Baroon Hai, Yoon Hai

Tum Ne Dekhi He Nahi Dasht-e-Wafa Ki Tasweer
Nook-e-Her Khaar Pe Ik Qatra-E-Khoon Hai, Yoon Hai

Tum Muhabbat Me Kahaan Sood-O-Ziyaa'n Ley Aaye
Ishq Ka Naam Khirad Hai, Na Janoo'n Hai, Yoon Hai

Ab Tum Aye Ho Meri Jaan Tamasha Kerney
Ab To Darya Me Talatum, Na Sakoon Hai, Yoon Hai

Nasihaa Tujh Ko Khaber Kia K Muhabbat Kia Hai
Rooz Aa Jata Hai, Samjhata Hai, Yoon Hai, Yoon Hai

Shairy Taza Zamanoon Ki Hai Memaar Faraz
Yeh Bhe Ik Silsila-E-Kunn Faya koo'n Hai, Yoon Hai

· 1 Like · Mar 03, 2018 at 15:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mukammal Kuch Nahi Hota

Usay Kehna Mukammal Kuch Nahi Hota,
Milan Bhi Na Mukammal Hai,
Juddai Bhi Adhori Hai
Yahan Bus Maut Puri Hai
Usey Kehna,
Udasi Jab Ragon Main Khoon Ki Maanind,
Utarti Hai Bahut Nuqsan Karti Hai,
Usay Kehna
Parindo Ki Judai Peh Shajar Jab,
Bain Kerty Hain Buhat Bechain Kerty Hain,
Usey Kehna
Bisaat-E-Ishq Peh Jab Maat Hoti Hai,
Dukhoon K Shehr Main Tab Raat Hoti Hai,
Mukammal Bas Khuda Ki Zat Hoti Hai

· 1 Like · Mar 03, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Us Dais Main Lagta Hai Adalat Nahin Hoti

Us Dais Main Lagta Hai Adalat Nahin Hoti,
Jis Dais Main Insaan Ki Hifazat Nahin Hoti..

Makhlooq-e-Khuda Jab Kisi Mushkil Main Phansi Ho,
Sajday Main Parray Rehna Ibadat Nahin Hoti..

Hum Khak Nasheenon Se Hi Kyun Kartay Hain Nafrat,
Kya Parda Nasheenon Main Ghalazat Nahin Hoti..

Ye Baat Nayi Nasal Ko Samjhani Parray Gi,
Uryani Kabhi Bhi Saqafat Nahin Hoti..

Sir Ankhon Par Hum Us Ko Bitha Laitay Hain Aksar,
Jis K Kisi Waday Main Sadaqat Nahin Hoti..

Pohncha Hai Agarchay Barra Nuqsan Hamaisha,
Phir Bhi Kisi Banday Ki Ataat Nahin Hoti..

Har Shakhs Sir Pe Kafan Bandh K Niklay,
Haq K Liye Larrna To Baghawat Nahin Hoti..

· 2 Like · Mar 02, 2018 at 09:03
Category: general
 
Gunahon ki Maghfirat
Posted by faisal razzaq
Posted on : Jul 29, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS